Sunday, December 16, 2007

Eek S/W enginner ki pratha

Hum panchi unmukt gagan ke,
Pinjad bandh na gaa paayenge,
Kanak teeliyon se takrakar,
Pulkit pankh toot jaayenge

Hum behta jal peene waale,
Mar jaayenge bhooke pyaase,
Kahin bhali hai katuk nimbori,
Kanak katori ki maida se

Svarn Shrinkhla ke bandhan mein,
Apni gati udaan sab bhoole,
Bas sapno mein dekh rahe hain,
Taru ki phungi, par ke jhoole

Aise the armaan ki udte,
Neel gagan ki seema paane,
Laal kiran si chonch khol,
Chugte taarak, anaar ke daane

Hoti seema heen shitij se,
In pankho ki hoda hodi,
Ya to shitij milan ban jaata,
Ya tanti saanso ki dori

Need na do, chaahe tehni ka,
Aashray chhinn-bhhinn kar daalo,
lekin pankh diye hain to,
Aakul udaan mein vighn na daalo

- Sumitranandan Panth